作词 : Ankur Tewari
作曲 : Ankur Tewari/Salvage Audio Collective
Bukhaar Zindagi Ka
Aisa Badan Jala Hai
Ilaaj Tum Na Dhoondho
Yeh Marz Hee Dawa Hai
Sitaaron Ki Iss Dhul Mein
Dhoondha Saara Jahaan
Bas Roshini Ko Hee Khabar
Andhere Hain Kahaan
Chodh Do Talaash
Waqt Zaaya Na Karo Tum
Manzilein Mileen Unhin Ko
Jo Raaston Mein Hain Gumm
Waqt Chal Raha Hai
Ya Ke Tum Chal Rahe Ho
Giray Huye Hain Sab Yahaan
Phir Kyon Sambhal Rahe Ho
Asal Hai Yeh Ke Khwaab Hai
Yeh Aag Hai Ke Aab Hai
Dhoondhte Ho Kyon Dar-Badar
Sawaal Hee Jawaab Hai